Heer

hai na pagal...hai na bewaqoof...aurat ka kya kaam jannat mein...

aurat tu yahan bhi aulaad ki dozakh mein jalti hai wahan bhi aulaad ki qismat se bandh jaey gi...

jo kisi ke saat beitey hoey Abdul Kareem..aur 6 jannat mein gaey...aur satwaan dozakh mein gya...tu maan ko jannat mein talash na karna wo tujhay satwein beitay ke saath dozakh mein milay gi..

aurat arif-e dunya hai Abdul Kareem us se dunya ka haal pooch jo aulaad se bandha ho us se Moula ki baat kya karni"

"aur nabi ki maan?...wo bhi arif-e dunya..wo bhi.....?"

"ja chala ja...bataya tu hai jahan Nabi hoga waheen us ki maan hogi"


Dast Basta

Baano Qudsia

Labels: edit post
0 Responses

Post a Comment