Heer


purani aqeedaty hi deeni aqeedaty hain..humara rishto say azaad naya pan kahi hamay rishto say azaad na ker day..mohbat o ahtraam say azaad ho ker hum gustakh na ban jaye..humari khudgerzi or gustakhi humaray liye azaab na likh day.. aisa azaab k humaray liye koi dil bay qraar na ho, koi aankh intzaar na keray aur sab say zaida khtarnaak azaab k humaray liye koi dua go hi na rah jaye...hum nay jin logo ko apni mout ka gham day ker jana hai, kio na in ko zindgi hi may koi khushi day jaye...mout yh nhi k saans khtam ho jaye...asal mout to yh hai k humay yaad kernay wala koi na ho..humaray liye naik khwahishat rkhnay walay humari twaja k mohtaaj hain un ki qader kerna chahaye ager humara koi na ho to phir hum hain hi kia? humara hona bhi kia hona hai...
harf harf say iqtibas...
0 Responses

Post a Comment