Heer
Azzadi akelay aadami ka safer hai. rasi terwa ker sarpat bhagnay ka amal, mohabbat apni merzi say khulay pinjray may totay ki terha bethay rhnay ki slahiaat hai, Mohabbt us gulami ka touq hai jo insaan khud apnay ikhtiaar say glay may daalta hai. yeh ehd peeri mureedi ka nahi k murshad munwaye aur salak maanny k muqaam per ko, yeh zmana shaadi ka bhi nahi k shaadi may b qadam qadam per apni merzi ko qurbaan kerna perta hai, Hazarat Ibrahim jis terha apnay betay ko qurbaan kerny per rzaa rhay, yeh Mohabbt ki azeem misaal hai.
Mohabbat may zaati azaadi ko talab kerna "shirk" hai, kio k baik waqat do ifraad say mohabbat nahi ki ja sakti, Mheboob say bhi aur apnay aap say bhi, Mohabbat gulami ka amal hai aur azaad loog gulaam nahi reh saktay..."

Labels: edit post
0 Responses

Post a Comment