Heer
Soch do trha ki hoti hai. aik soch ilm say nikalti hai aur raigistaan may ja ker sookhti hai. dusri soch waajdaan say janam leti hai aur baagh k dhanay per lay jaati hai. inhi do qisam k khyalaat say do terha ka rehna sehna janam leta hai. aik rehna sehna ilm aur tajweez say janam leta hai,, is may chaqu chiru, muqadma, bhex mubahasay, kas pal, haq haqooq, chipta chipti, krudh, kaam hinkaar sab hota hai. 
Dusra rehna sehna aik aur qisam ki soch say nikilta hai, is may wajdaan, shaanti, aman, perschat, prem ki wjha say humesha hijrat ka smaa rehta hai isi wajdaan ki soch ki wjha say aisi soch walay loog greebi may ameer aur ameeri may gareeb dikhai detay hain...!
Labels: edit post
0 Responses

Post a Comment