"Har aik ko bhikari bnaa ker rastay may bhitaya hua hai aur har aik khud ko malik samhjta hai jab tak thoker nahi lagti jab tak ghutno'n per nahi girta apni uqaat ka pata hi nahi chalta, wajood kay naseeb may hai bhikari hona...bas "zaat" bhikari nahi ho sakti..wajood kay muqader may maangna hai.."zaat" ka wasaf dena hai...main kia Tu kia sab bhikari hain, aaj nahi to kal, kal nahi to perso kabhi na kabhi bhikari banna hi perta hai..maangna hi hota hai..koi ishq maangta hai koi duniya aur jo yeh nahi maangta woh kwahish ka khtam ho jana maangta hai..."
(Sheher-e-zaat, Umera Ahmed)
(Sheher-e-zaat, Umera Ahmed)

Post a Comment