Hum apny aabba ki fitrat sy humahang nahi,jo din waqat kam aur raat kt waqt aram karty thy.Muasmon ky mutabiq rehty thy aur degar jabdaron ki si taizi sy safar karty thy...ye sorat-e-haal hazar-ha-bars tak rahi lakin sirf pachas saal pehly hum par nit nai technologies ky dar khuly aur ajj insaan awaz sy zaiada raftar ky sath safar karta hai... Ye suhnera zamana hai jo pershan kun bhi hai kyn ky insani jism aur dimag apny aabba jaisy he hain lakin unhain musalsal nai tabdeelion ko qabool karna parh rhaha hai..technology ki hakmiat ki wajah sy hummary mu'ashrati rawiay machinon ky gulam banty ja rahy hain..Hum ab machinon ki tarhan khaty peety,saans layty aur kaam karty hain.......nateejatan kain log zehni aur jismani awarz ka shikaar hain..haqeeqat ye hai ky hum abhi tak gaar waly insaanon jaisy hain..humain apny aasabi nizamon, apny waqt aur apny dimag par control nahi...kai wajoh ki bina par hum qadeem insanon sy zyada pasmanda hain....kyn ky wo fitrat ky sath rehty thy jab ky hum fitrat aur fitri taqazon ko samjhy bagair tamak toeain maar rahy hain..

Post a Comment