Admin
mohabbat koshish ya mahnat say hasil nahin hoti yeh ata hai, yeh naseeb hai balkay yeh baray hi naseeb ki baat hai.. zameen kay safar main agar koi cheeze aasmaani hai to woh mohabbat hi hai.. mohabbat say aashna honay walay ki zindagi nasar say nikal kar shier main dakhil ho jati hai.. or hansta hai baysabar' rota hai bay jawaz' mohabbat main dakhil honay wala har daastan-e-ulfat ko kam-o- baish apna hi qissa samajhta hai. wo apnay ghum ka aks dosron kay afsano'n main mahsoos karta hai. mohabbat wahdat say kasrat or kasrat say wahdat ka safar tay karti hai. mohabbat zameen par pao'n rakhay to aahat aasmaano'n par sunaye deti hai. mohib or mahboob ka taqarrub moasumo'n ko khushgawar bana deta hai. mahboob ki judaye say baharain rooth jati hain. mahboob ka firaaq bainaye cheen laita hai . mohabbat karnay walay ko khusboo'oan say taruf naseeb hota hai. usay aahtain sunaye deti hain. woh darhkano'n say aashna hota hai. usay naala-e-neem shubi ka matalab samajh main aata hai. mohabbat kay samnay namumkin or mohaal kuch nahin hota hai. mohabbat phailay to poori kaainaat or simtay to qatra-e-khoo'n. hum hama wakt jis kay qareeb rahna chahtay hain wohi mahboob hai. mahboob har haal main haseen hota hai. kyonkay husn to dekhnay walay ka andaz-e-nazar hai. hum jis zaat ki baqa kay liye apni fana tak bhi gawara kartay hain wohi mahboob hai.. mohabbat karnay walay judaye kay ilawa kissi qayamat kay qail nahin hotay hain.. mohabbat do rooho'n ki na khatam honay wali parwaaz hai.
0 Responses

Post a Comment